amal ki azm ki ikhlas-e-niyyat ki zarurat hai watan se ai watan walo mohabbat ki zarurat hai zarurat hai ki ek dil aur ek aawaz ho jao haqiqat to yahi hai ab haqiqat ki zarurat hai kahan tak millaton ke ikhtilafat aae din honge har ek millat se ab to mail-e-millat ki zarurat hai zabani khadim-e-mulk-o-watan banna to hai aasan agar makhdum banna hai to khidmat ki zarurat hai tumhaara har amal kirdar-e-indira ka namuna ho murawwat ki sadaqat ki hamiyyat ki zarurat hai khayali jannaten banti rahin bazm-e-tasawwur mein amal se jo bane ab aisi jannat ki zarurat hai zaban se jo kaho apni wahi dil ka tarana ho ham-ahangi ko bhi saz-e-haqiqat ki zarurat hai faqat phulon ki khush-rangi se ai 'takmil' kya hasil jo duniya ko basana hai to nikhat ki zarurat hai