ek dost ki KHush-mazaqi par

ho nahin sakta teri is khush-mazaqi ka jawab
sham ka dilkash saman aur tere hathon mein kitab
rakh bhi de ab is kitab-e-khushk ko baala-e-taq
ud raha hai rang-o-bu ki bazm mein tera mazaq
chhup raha hai parda-e-maghrib mein mahr-e-zar-fishan
did ke qabil hain baadal mein shafaq ki surkhiyan
maujzan ju-e-shafaq hai is tarah zer-e-sahab
jis tarah rangin shishon mein jhalakti hai sharab
ek nigarish-e-atishin har shai pe hai chhaya hua
jaise aariz par urus-e-nau ke ho rang-e-haya
shana-e-giti pe lahrane ko hain gesu-e-shab
aasman mein munaqid hone ko hai bazm-e-tarab
ud rahe hain justuju mein aashiyanon ke tuyur
aa chala hai aaine mein chand ke halka sa nur
dekh kar ye sham ke nazzara-ha-e-dil-nashin
kya tere dil mein zara bhi gudgudi hoti nahin
kya teri nazron mein ye ranginiyan bhati nahin
kya hawa-e-sard tere dil ko tadpati nahin
kya nahin hoti tujhe mahsus mujh ko sach bata
tez jhonkon mein hawa ke gungunane ki sada
sabza-o-gul dekh kar tujh ko khushi hoti nahin
uf tere ehsas mein itni bhi rangini nahin
husn-e-fitrat ki latafat ka jo tu qael nahin
main ye kahta hun tujhe jine ka haq hasil nahin
This is a great dilkash shayari in urdu. True lovers of gudgudi shayari image will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore mazak shayari image. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close