ek ek aarzu sadqe mein utari jae

jashn-e-nauroz bhi hai
jashn-e-bahaaran bhi hai

shab-e-mahtab bhi
jashn-e-mah-e-taban bhi hai

sunte hain
aaj hi jashn-e-shah-e-khuban bhi hai

aaiye ai dil-e-barbaad
chalen hum bhi wahan

jashn ki raat hai
saughat to batti hogi

apne hisse ki
chalen hum bhi utha len saughat

dard ki
aakhiri sine se laga len saughat

aur phir yun ho
ki jab sham dhale

os mein bhig ke
gul-mohr ki khushbu phaile

yaad ki chandni
be-khwab darichon pe gire

phir usi jashn ki
ye raat mere kaam aae

dard ki aakhiri saughat
mare kaam aae

aakhir shab
shab-e-akhir thahre

zid pe aaya hua ye dil thahre
tod dun shisha

jo hasti ka bhi phir jam aae
kaam aae

to ye saughat mere kaam aae
jashn ki raat hai

yun nazr gizari jae
ek ek aarzu sadqe mein utari jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close