main mangne wala hun nikal jata hun kabhi mandir kabhi masjid ki taraf girja aur guru-dware ka chakkar bhi laga leta hun aaj shahr ke bade maidan mein badi sajawat hai kisi tehwar ke jashn jaisa mahaul hai hujum hai bhid hai saman hi saman hai log kah rahe hain bade mantari aane wale hain charcha ye bhi hai ki bade din-dayalu hain roti kapda aur makan to bahuton ne diya un ke hathon mein har dukh ka ilaj hai ye to bada hi chamatkar hai parbhu to in ke pichhle janm ka shayad upkar hai ai nili chhatri wale meri bhi ek binti sun le zindagi jo meri ghisat rahi hai bhuk ke pet khule aasman ke niche kat rahi hai agle janam mujhe bhi mantari banaiyo isi shan aur that-bat ke sath har jagah ghumaiyo mera to shahr bhi ajnabi hai mere liye agle janam mein mujhe bhi sari duniya ki sair karaiyo ek aadh kapdon hi mein guzarti hai zindagi meri agle janam khub qimti kapde pahnaiyo ai data agle janam mujhe bhi bada mantari banaiyo