mujh se bhi wo milti thi us ke hont gulabi the us ki aankh mein masti thi main bhi bhula-bhatka sa wo bhi bhuli-bhatki thi shahr ki har aabaad sadak! us ke ghar ko jati thi! lekin wo kya karti thi! ladki thi ki paheli thi! ulte-sidhe raston par aankhen dhanp ke chalti thi bhigi bhigi raaton mein tanha tanha roti thi maile maile kapdon mein ujli ujli lagti thi us ke sare khwab nae aur tabir purani thi