roz-afzun ye dekhti hun main mere khwabon mein koi aata hai dur hi dur se wo meri taraf dekh kar muskurae jata hai ajnabi shakhs dilruba jaisa pas aa kar ke kuchh nahin kahta jag uthta hai dil ka ek tara mere khwabon mein jab wo aata hai hasraton ke mazar par jhuk kar aarizon ke diye jalata hai aankhon aankhon mein baat hoti hai raqs mein kaenat hoti hai zindagi ki hasin wadi mein pyar-o-ulfat ke phul khilte hain apni qadron ka wasta de kar hum gale se gale jo milte hain nikhaton ka salam aata hai zindagi ka payam aata hai jaan-faza dil-nawaz ye lamhe chahti hun ki jawedan ho jaen tham ke rah jae waqt ki raftar aur din-raat be-nishan ho jaen bazm-e-hasti dhuan dhuan ho jae jo na ho jo ho be-guman ho jae mujh ko malum hai magar ye bhi mere khwabon ki kuchh nahin tabir phir bhi itna mujhe batae kaun log kyon ho gae hawas ke asir is se zyaada kare bhi kya takrar ek muflis ki dukhtar-e-lachaar