ek pahchan ke kitne ism hain ek inam ke kitne nam hain tera nam wo baadal jis ka paighambar par dasht-e-jabal mein saya hai tera nam wo barkha jis ka rim-jhim pani wadi mein dariya kahlae aur samundar banta jae tera nam wo suraj jis ka sona sab ki milkiyyat hai jis ka sikka mulkon mulkon jari hai tera nam wo harf jise imkan ki lauh par dekh ke main ne pesh-o-pas se nuqta nuqta jod liya hai ismon wale harfon wale namon wale mujh ko bhi ek nam ata kar meri jholi midhat karti bundon kirnon chamkile harfon se bhar de