bichhadte lamhon mein us ne mujh se kaha tha dekho hamari rahen juda juda hain magar hamein ek dusre ka khayal rakhna hai zindagi bhar kisi bhi lamhe udasiyon ki fasil hail na hone dena hawa ke hathon pe likhte rahna judaiyon ke tamam qisse qadam qadam par jo pesh aaen wo sanehe bhi nazar mein rakhna main jab bhi lauta to apne honton ki tazgi ko tumhaari bujhti hui in aankhon mein la rakhunga jo meri apni hain sirf meri bichhadte lamhon mein us ne mujh se na jaane kya kuchh kaha suna tha aur ab use bhi yahi kahega wo jis ke hathon mein hath dale nae safar par nikal pada hai