phir khabar garm hai wo jaan-e-watan aata hai phir wo zindani-e-zindan-e-watan aata hai wo kharab-e-gul-o-raihan-e-watan aata hai misr se yusuf-e-kanan-e-watan aata hai koi mashuq ba-sad-shaukat-o-naz aata hai surkh bairaq hai samundar mein jahaz aata hai rind-e-be-kaif ko thi baada-o-saghar ki talash nazir-e-manzar-e-fitrat ko thi manzar ki talash ek bhanwre ko khizan mein thi gul-e-tar ki talash khud sanam-khana-e-azar ko thi aazar ki talash muzhda ai dost ki wo jaan-e-bahaar aa pahuncha! apne daman mein liye barq-o-sharar aa pahuncha! apna parcham wo kuchh is andaz se lahraata hai rang aghyar ke chehron se uda jata hai koi shadan, koi hairan, koi sharmata hai kaun ye sahil-e-mashriq pe nazar aata hai apne maikhane ka ek mai-kash-e-behaal hai ye han wahi mard-e-jawan-bakht o jawan-sal hai ye mard-e-sarkash tujhe aadam ki kahani ki qasam ruh-e-insan ke taqaza-e-nihani ki qasam jazba-e-aish ki har shorish-e-fani ki qasam tujh ko apni isi bad-mast jawani ki qasam aa ki ek bar gale se to laga len tujh ko apne aaghosh-e-mohabbat mein utha len tujh ko nutq to ab bhi hai par shola-fishan hai ki nahin soz-e-pinhan se teri ruh tapan hai ki nahin tujh pe ye bar ghulami ka giran hai ki nahin jism mein khun jawani ka rawan hai ki nahin aur agar hai to phir aa tere parastar hain hum jins-e-azadi-e-insan ke kharidar hain hum saqi o rind tere hain mai-e-gulfam teri uth ki aasuda hai phir hasrat-e-nakaam teri barhaman tere hain kul millat-e-islam teri subh-e-kashi tiri, sangam ki hasin sham teri dekh shamshir hai ye saz hai ye jam hai ye tu jo shamshir utha le to bada kaam hai ye dekh badla nazar aata hai gulistan ka saman saghar o saz na le, jang ke nare hain yahan ye duaen hain wo mazlum ki aahon ka dhuan mail-e-jang nazar aata hai har mard-e-jawan sarfaroshan-e-bala-kash ka sahaara ban ja uth aur aflak-e-baghawat ka sitara ban ja