ek jugnu ke sath

bhag rahi hai chanchal ladki ek jugnu ke sath
dali dali phailati hai apne komal hath

dekh rahe hain phul aur paude
bagh ke ye masum tamashe

chanchal ladki ye kya jaane
khule hain qudrat ke aaine

bhag rahi hai chanchal ladki ek jugnu ke sath
dali dali phailati hai apne komal hath

dale nain mein kajal ladki
apni dhun mein be-kal ladki

phailae hai aanchal ladki
daud rahi hai chanchal ladki

bhag rahi hai chanchal ladki ek jugnu ke sath
dali dali phailati hai apne komal hath

jugnu us ko daudata hai
pas aa kar bhi mud jata hai

shakh mein us ko uljhata hai
bhai ban kar itraata hai

bhag rahi hai chanchal ladki ek jugnu ke sath
dali dali phailati hai apne komal hath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close