dhund ke darmiyan muallaq dinon mein khushk lamhe mere andar girte rahte hain aur dil ko bhar dete hain main qadam dharne se darta hun sochta hun kahin kuchh tut na jae aur aaram ki khwahish-mand hawa nind se jag na jae lambi faraghaton mein aasman ki khali nilahaton ko gard se bharte dekhta rahta hun ek jaise manazir farar ki khwahish mein chaaron taraf dekhte rahte hain chor raste talash karte rahte hain sham hone se pahle hi sardi ke tez reze badan mein utarne lagte hain hawa ki ghair-maujudagi mein bikhre hue khushk lamhon ko khud hi jama karta hun un se aag raushan karta hun ghair-mahfuz raaton mein jagne ke liye zinda rahne ke liye