ek mashhur intiha-pasand nai nasl ke nam

abhi se kyon tumhaare jism ka dhancha
batao reza reza hai

na jaane kyon fasurda ho abhi se tum
na jaane buzdili ka taj kyon sar par tumhaare hai

zara socho
ki tum is daur ka katba bane ho kyon

abhi se zard chehra ho gaya hai kyon
abhi to zist ke lakhon marahil se guzarna hai

abhi se pasti-o-zillat ke be-mani azabon ko
kaho jheloge tum kab tak

abhi se tishna-lab ho kar
sarabon ki taraf kyon aa rahe ho tum

kahan chhod aae ho apne samundar ko
tumhein yun hi bhatakna hai

to phir
ek mashwara deta hun main tum ko

agar tum ibn-e-adam ho
to chhup jao kisi andhi gupha mein tum

bahut mumkin hai
tum ko zat ka irfan hasil ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close