ek mohabbat By Nazm << ek mor ek manzar ki KHamoshi >> jiwan ek be-ant safar hai duniya ek paraya ghar hai us ghar ke kone khudron mein hum ne apne khwab jamae baadal boe dariya pae dukh jhele aur sukh phailae dharti se aakash ko joda ek mohabbat dil mein rakkhi sari umr udasi chakkhi Share on: