jab wo kam-umr hi tha us ne ye jaan liya tha ki agar jina hai badi chaalaki se jina hoga aankh ki aakhiri had tak hai bisat-e-hasti aur wo mamuli sa ek mohra hai ek ek khana bahut soch ke chalna hoga bazi aasan nahin thi us ki dur tak chaaron taraf phaile the mohre jallad nihayat hi saffak sakht be-rahm bahut hi chaalak apne qabze mein liye puri bisat us ke hisse mein faqat mat liye wo jidhar jata use milta tha har naya khana nai ghat liye wo magar bachta raha chalta raha ek ghar dusra ghar tisra ghar pas aaya kabhi auron ke kabhi dur hua wo magar bachta raha chalta raha go ki mamuli sa mohara tha magar jit gaya yun wo ek roz bada mohara bana ab wo mahfuz hai ek khane mein itna mahfuz hai ek khane mein itna mahfuz ki dushman to alag dost bhi pas nahin aa sakte us ke ek hath mein hai jit us ki dusre hath mein tanhai hai