ek bar aur zara dekh idhar apne jalwon ko bikhar jaane de ruh mein meri utar jaane de muskuraati hui nazron ka fusun ye hasin lab ye darakhshanda jabin abhi bebak nahin aur aane de unhen meri nigahon ke qarin dal phir meri jawan-khez tamannaon par be-muhaba sa basi nazar ek bar aur zara dekh idhar han wahi ek nazar ghair-fani si nazar jis ki aaghosh mein raqsinda hai abadi kaif ki duniya-e-jamil jis mein tariki aalam nahin kahish gardish-e-ayyam nahin mahw ho jate hain jis se yaksar yaad-e-mazi ki khalish kawish-e-farda ka asar han wahin ek nazar ek bar aur zara dekh idhar