ek nazm bachchon ki taraf se

ye talim gar mil bhi jae to kya hai
ye school hai ek kharabon ki duniya

sawalon ki basti jawabon ki duniya
ye pencil ye kaghaz kitabon ki duniya

ye talim gar mil bhi jae to kya hai
na english hi jaanun na social hi bhae

na bio hi samjhun na hindi hi aae
jo marzi chale to karun sab ko bye

ye talim gar mil bhi jae to kya hai
musibat hai kaisi sahar ki jagai

sabhi log sote hain odhe razai
magar meri qismat mein hai munh dikhai

ye talim gar mil bhi jae to kya hai
bura mud us par sawa man ka basta

aur us par jise dekhiye roab kasta
yahan mera bachpan hai har shai se sasta

ye talim gar mil bhi jae to kya hai
zara dost se baat kar len to aafat

kisi waqt chhup kar guzar len to aafat
ijazat kisi se agar len to aafat

ye talim gar mil bhi jae to kya hai
na filmon ki baaten na khelon ki baaten

ye be-kar ki pas failon ki baaten
usulon ke qisse jhamelon ki baaten

ye talim gar mil bhi jae to kya hai
ye talim gar mil bhi jae to kya hai

mere samne se hata lo kitaben
mere teachero tum sambhaalo kitaben

principal ke kandhon pe dalo kitaben


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close