ba-zahir ajnabi ho tum magar boson ki be-kaifi batati hai ki ye wo zahr hai chakkha hai jis ko bar-ha main ne na jaane jazb hai mere labon mein kitne rukhsaron ki kadwahat ye sab khamyaza hai us bosa-e-awwal ka dil bhula nahin jis ki halawat ko main us ko bar-ha samjha chuka hun mazi-e-marhum ka matam to kar sakte hain, wapas la nahin sakte magar dil, dil hai is ko kaun samjhae yaqin hai aaj tak us lamha-e-awwal ki is ko bazyabi ka asir-e-wahm hai itna guman hone laga hai reg-e-sahra par bhi pani ka ise diwangi kah lo faraaz-e-tishnagi samjho