zamin shoale ugal rahi hai faza se tezab gir raha hai zamin agni pe lotti hai hawaen chehra bigadti hain suna to tha aaj dekhte hain yahan hawaen hain nar-sirat azal se le kar abad talak be-qarar hongi hamari ruhen janm janm tak bhatak bhatak kar fana fana be-karan tabahi ka nam le kar na ped honge na qumriyon ke surile naghme shiwalika par na koi jogi sada-e-jashn-e-bahaar dega koi qalandar na koi rumi nae suron ki talash karne kisi niystan mein ja rukega