kabhi agar tum zamin se guzro zamin jo hum sab ki saltanat hai to jis taraf ek kali ke mohre pe chandni apna nam khud hai wahan zara der ke liye apni umar ki raft-o-bud roko zamin ko lamhon ki baadshahat mein dekhna chaho is tariqe se aarzuon ke sath dekho ki jis tarah log apne mahbub ke badan ko wafat ke waqt dekhte hain main kuchh nahin apne git ka apni maut ka nama-bar hun aksar zamin ki qismat mein jitni zardi hai wo hun lekin hazar qimat wo shai hun jis ki inayaton se kabhi sitare zamin pe raushan hain gah dil mein bahaar aur us ke khair-maqdam ka majra hain isi liye jab kabhi tumhaara guzar ho aur din ke nek suraj khud apne mausam ki baadshahat hon, to jahan aansuon ke chashme firaq ki os hain wahan apni chap ke sath mere sae ki raushni mein kabhi mera zikr karna chaho to khud ko samjho main khud hun aur tum mere hi mausam ka abr ho abr jo zamin hi ki milkiyat ka ghubar bhi bahr bhi hai rahmat ka abr bhi hai khamoshiyan mere sath sari bahaar ka moajaza hain saya jahan guzishta kai dinon se tadap raha hai wahan purani zamin ne kaliyon ka taj phenka hai aur duniya kai mahinon ke baad yun khushnuma hai jaise mera muqaddar teri tamanna se khushnuma hai