ek nazm

ghar bana kar qaid ho jaane se behtar hai ki hum
khema-e-aflak ke niche guzaren zindagi

jis ki koi had nahin
ek sire se hum safar aaghaz bhi kar len agar

maut tak duje sire ko pa na paenge kabhi
kis liye phir mukhtasar si

chaar-diwari mein khud ko qaid karne ke liye
ghar banane ki tamanna hum karen

qaid hi maut hai aur maut se
jis qadar mumkin ho utna dur rahna chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close