ek nazm

faza mein ek sukun tha
har taraf sahme hue se zard chehre

pyas ke mare zamin par gir rahe the
aur kuchh be-rahm data

bebasi ka ye tamasha
dekh kar khush ho rahe the

garm pyasi ret par baithe hue
sare kisi ke muntazir the

waqt ke data sabhi
khud-sakhta kholon mein lipte so rahe the

aur bahar
pyas ka sahra musalsal munh chidhata tha

ki itne mein
usi sahra ki qismat khul gai

phir
ek chashma phut kar

sahra ki tapti ret par
bahne laga ek dastan kahne laga

chhote bade patthar bikhar kar reza reza ho gae
sari purani gard pal mein bah gai

aur sirf pani ki rawani rah gai
jo sare bhaari aur bosida buton ko bhi

baha kar le gai
chaaron taraf ek raushni phaili

sabhi chehron ne sukh ka sans paya
aur ek khush-kun safar ke khwab dekhe

aur phir
ek sazishi lamha

badan par zulm ki sangin qaba pahne
bahimana raunat sar pe rakkhe

apne bhaari bhaari buton mein
hamari umr bhar ki mehnaton aur khwahishon ke

us ujale ko chura kar le gaya
jo sainkadon tarik lamhon ke

samundar se hamein hasil hua tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close