mohr-ba-lab viran dariche darwaze sunsan dur pahadon ki choti par shahi goristan nim ki shakhon mein uljhi hai kankawwe ki kanp diwaron par reng raha hai shikastagi ka sanp sadken rah-giron par dalen thandi sard nigah sharm-e-uryani se chup hai budhi shahr-panah waqt ke qadmon ki aahat deti hai sunai aise sannate mein bhatak rahi hon biti sadiyan jaise ek ek lamha dhund raha hai khoi hui ranai daud raha hai pichhe ko ba-wasf-e-shikasta-pai rah mein lekin kuchh diwaren aan khadi hui hain diwaren jin par nangi sanginen gadi hui hain un se sar takraate lamhon ke ye pagle sae mamlikat-e-farda ka rasta kaun unhen dikhlae