ek raat safed gulabon wale talab ke pas

wo ek shab thi safed gulabon wale talab ke bilkul nazdik
baadalon ki pahli aahat par

us ne rakh diye hont honton par
mausiqi ki titli git gane lagi

us ke sanson ke aas-pas
us ki khushbuon ke ghunghru

baj rahe the us shab
hua ki safed gulabi chhaton par

wo umad rahi thi
ek tez samundari lahr ki tarah

wo jism par naqsh ho rahi thi
titliyon se bhare hue ek khwab ki tarah

wo ek shab safed gulabon wale talab ke bilkul nazdik
shab-bhar baadalon ki halki aur tez aahaten

aur shab-bhar
hont honton par

sans sanson par
aur jism jism ki safed gulabi chhaton par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close