ek sab aag ek sab pani

hamare gham juda the
qarya-e-dil ki faza aab o hawa
mausam juda the
sham tere jism ki diwar se chimti hui thi
mujh ko kali raat khati thi
tujhe aawaz deti thi tere andar se uthti huk
mujh ko bhuk meri ruh se bahar bulati thi
tujhe panw mein padti bediyon ka rog lahaq tha
mujhe aazadi pe shak tha
tujhe apnon ne apne gher ka qaidi banaya tha
mujhe be-rishtagi ne zat ka bhedi banaya tha
musalsal likh par gardish mein rahna nachna
tera watira tha
meri ek apni duniya thi
mera apna jazira tha
koi dariya tha apne bich
hum donon kinare the
alag do kahkashaen thin
jahan ke hum sitare the
This is a great shak bhari shayari. True lovers of khatti meethi shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore kahkashan shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close