ek sawal

tamam umr jo apne liye na mang saki
wo sab duaen tumhaare liye hi mangi hain

har ek dua mein tumhaara hi nam lab pe raha
har ek harf-e-mohabbat tumhaare nam raha

gai ruton ke hasin khwab sath sath chale
dagar dagar pe tumhaara hi nam likhte chale

jo lauh-e-sada par ek bar tera nam likha
ghubar-e-gard-e-zamana use mita na saka

ye aur baat ki ab ijtinab hai tujh se
ye aur baat ki dil ehtisab karta hai

ye aur baat ki harf-e-yaqin sard hue
ye aur baat ki lafzon ke phul zard hue

chahaar samt koi dhund phaili jati hai
talash mazi ke ujle khayal kaise karun

tumhein manaun to meri ana ko chot lage
tumhein bhulaun to dil hi udas ho jae

ye sach hai sach hai gurezan rahe magar phir bhi
batao dil ki tapish kya kabhi hui mahsus


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close