qumqumon ki zahr ugalti raushni sang-dil pur-haul diwaron ke sae aahani but dew-paikar ajnabi chikhti chinghadti khunin sarae ruh uljhi ja rahi hai kya karun chaar jaanib irtiash-e-rang-o-nur chaar jaanib ajnabi banhon ke jal chaar jaanib khun-fishan parcham buland main meri ghairat mera dast-e-sawal zindagi sharma rahi hai kya karun kar-gah-e-zist ke har mod par ruh-e-changezi bar-afganda-naqab tham ai subh jahan-e-nau ki zau jag ai mustaqbil-e-insan ke khwab aas dubi ja rahi hai kya karun