kin harfon ki tafhim karun kin rangon ki tajsim karun kis rah chalun aur chalta jaun khula nahin abhi darwaza to khula nahin kis phul ki madh likhun ai harf-e-sahar-asar ai yaum-e-azadi main ne to nahin dekha tere lams se kaun sa sang gulab hua aaina aab hua is bagh mein kaun si musht-e-khak khuli khushbu aazad hui be-bas aur sat bahaaren aur khizaen ek hi mausam ki ajrak main dekh chuka hun lekin main ne wo din kis din dekha hai jab aankhen rauzan chhod ke phulon ki kyari mein bas jati hain koyal gati hai koyal gati hai jhule padte hain baghon mein husn se reza reza wasl tapakta hai main ne kab dekha hai abhi darwaza to khula nahin abhi darwaza to khula nahin darwaza khule to main bhi qalam mein taza hawa ki siyahi bhar lun aur ek khat likhun main tere pate par khat likhun tu apna taaruf bhej main tujh par ek pyari si nazm likhun ki suna hai tu bhi pyara sa ek lams hai ek lamha hai lekin main ne tujhe kab chakha sungha dekha suna mahsus kiya hai jab se main jaga hun tu to jantriyon mein morcha-band hai soya hua hai jag ai nadida saat ai sadiyon ka andoh liye lamhe ab mujh par bhi mutthi bhar sahar chhidak bas ek jhalak dikhla teri ek jhalak mere panch hawas ki bakhiya bakhiya udhdi jholi si bhi degi bhar bhi degi phir main tujh par ek la-fani nazm likhunga tujhe sunane aaunga