hai kaam ke waqt kaam achchha aur khel ke waqt khel zeba jab kaam ka waqt ho karo kaam bhule se bhi khel ka na lo nam han khel ke waqt khub khelo kudo phando ki dand pelo khush rahne ka hai yahi tariqa har baat ka sikhiye saliqa himmat ko na haariyo khuda-ra mat dhundiyo ghair ka sahaara apni himmat se kaam karna mushkil ho to chahiye na darna jo kuchh ho so apne dam qadam se kya kaam hai ghair ke karam se mat chhodiyo kaam ko adhura be-kar hai jo hua na pura har waqt main sirf ek hi kaam pa sakta hai behtari se anjam jab kaam mein kaam aur chheda donon hi mein pad gaya bakheda jo waqt guzar gaya akarat afsos! hua khazana ghaarat hai kaam ke waqt kaam achchha aur khel ke waqt khel zeba