tumhaari aankh mein kya hai gulabon ki mahak ne jism mein rauzan banae hain palat kar dekh lo duri ki har chattan girti hai sazaon ke liye tayyar ho jao adhure daeron mein raqs karne ke liye hushiyar ho jao tumhaari chikh ke nanhe parindon ko udanon ka naya mausam mubarak ho patangon ki safon mein khalbali kyon hai charaghon ko dhuen ki chadaron mein munh chhapane ki nai surat nazar aae ye tum ko kya hua tum aasmanon se zamin par kyon utar aae nukile nakhunon se apni qabren khodne walo thakan se chur chehron par abhi tak sharm ke aasar baqi hain andhere ke kisi patal mein utre chale jao tumhaare ratjagon ne nind ko pamal kar dala sakhi aankhon ke ashkon ne tumhein kangal kar dala tumhaari be-dili ka karb ab dekha nahin jata chalo tum ko kisi ek ghumti kursi pe baitha den