ab mere pas tum aai ho to kya aai ho main ne mana ki tum ek paikar-e-ranai ho chaman-e-dahr mein ruh-e-chaman-arai ho talat-e-mehr ho firdaus ki barnai ho bint-e-mahtab ho gardun se utar aai ho mujh se milne mein ab andesha-e-ruswai hai main ne khud apne kiye ki ye saza pai hai khak mein aah milai hai jawani main ne shola-zaron mein jalai hai jawani main ne shahr-e-khuban mein ganwai hai jawani main ne khwab-gahon mein jagai hai jawani main ne husn ne jab bhi inayat ki nazar dali hai mere paiman-e-mohabbat ne sipar dali hai un dinon mujh pe qayamat ka junun tari tha sar pe sarshaari-e-ishrat ka junun tari tha mah-paron se mohabbat ka junun tari tha shahryaron se raqabat ka junun tari tha bistar-e-makhmal-o-sanjab thi duniya meri ek rangin o hasin khwab thi duniya meri jannat-e-shauq thi begana-e-afat-e-sumum dard jab dard na ho kawish-e-darman malum khak the dida-e-bebak mein gardun ke nujum bazm-e-parwin thi nigahon mein kanizon ka hujum laila-e-naz barafganda-naqab aati thi apni aankhon mein liye dawat-e-khwab aati thi sang ko gauhar-e-nayab-o-giran jaana tha dasht-e-pur-khar ko firdaus-e-jawan jaana tha reg ko silsila-e-ab-e-rawan jaana tha aah ye raaz abhi main ne kahan jaana tha meri har fatah mein hai ek hazimat pinhan har masarrat mein hai raaz-e-gham-o-hasrat pinhan kya sunogi meri majruh jawani ki pukar meri fariyaad-e-jigar-doz mera nala-e-zar shiddat-e-karb mein dubi hui meri guftar main ki khud apne mazaq-e-tarab-agin ka shikar wo gudaz-e-dil-e-marhum kahan se laun ab main wo jazba-e-masum kahan se laun mere sae se daro tum meri qurbat se daro apni jurat ki qasam ab meri jurat se daro tum latafat ho agar meri latafat se daro mere wadon se daro meri mohabbat se daro ab main altaf o inayat ka saza-war nahin main wafadar nahin han main wafadar nahin ab mere pas tum aai ho to kya aai ho