tum samajhti ho ye gul-dan mein hanste hue phul meri afsurdagi-e-dil ko mita hi denge ye hasin phul ki hain jaan-e-gulistan-e-bahaar mere soe hue naghmon ko jaga hi denge tum ne dekhi hain damakti hui shamen lekin tum ne dekhe nahin bujhte hue dipak hamdam wahi dipak jo nigahon ka sahaara pa kar ek lamhe ke liye jalte hain bujh jate hain kabhi ek ashk se dhul jate hain sadiyon ke ghubar kaenat aur nikhar aur sanwar jati hai kabhi nakaam tamanna ki sada-e-mubham qahqaha ban ke fazaon mein bikhar jati hai tutte taron ke sangit sune hain tum ne wo bhi naghme hain jo honton se gurezan hi rahe phadphadate hue dekhe hain fazaon mein kabhi wo fasane jo nigahon se bayan ho na sake kabhi kanton se bahal jati hai ruh-e-ghamgin aur masum shagufon ki rasili khushbu neshtar ban ke rag-e-jaan mein utar jati hai han yahi phul yahi jaan-e-gulistan-e-bahaar nag ban kar kabhi ehsas ko das lete hain