hum ek dusre ka libas bane the aur ta'alluqat ki is khubsurat mala mein hamein khud ko piroe bas do hi din hue the ki yak-dam mere dil ke kisi na-asuda goshe mein ye ehsas paida hua ki zarur kahin koi baat ghalat ho gai hai aur jaise is khubsurat rishte ki pahli int hi tedhi rakhi gai hai mera dil bujh sa gaya lekin main ne sar ko jhatka aur dil ko malamat ki abhi din hi kitne hue hain waqt guzarta raha aur hum donon do mukhtalif dhaaron mein bahte chale gae ye jaante hue ki hum ek dusre ke liye nahin banae gae balki hamari baz zaruraton se paida hone wali zimmadariyon ki wajah se hum ek sath rahne par majbur hain kai barson ke ba'd jab hum ek na-pasandida magar fitri faisla karne par majbur hue to hamara libas pahle hi se tar-tar tha aur hamare ird-gird ke log na chahte hue bhi hamare rishte ki uryani ka nazara kar sakte the