sham raushan thi sunahri thi magar utri chali aati thi zina zina aa ke phir ruk si gai shab ki munderon ke qarin ek sitara bhi kahin sath hi jhuk aaya tha jaise wo chhune ko tha kanon ke baale us ke gesuon ko bhi ki the rukh ke hawale us ke kuhniyan teke hue ek dhadakti hui diwar pe wo khilkhilate hue kuchh mujh se kahe jati thi us ka aahang-e-sukhan munfarid lahn-e-kalam zamzame phutte the jis se shagufon ki tarah jhil pe panchhi koi pankh sanware jaise sur ki lahron pe koi dil ko pukare jaise sanwle chehre pe wo kanon ke baale ki damak naz-e-be-ja bhi na tha rukh pe tfakhur ki jhalak itni pur-nur thin wo aankhen ki guman hota tha jaise khurshid abhi dub ke ubhrega unhin aankhon se lekin is sham un aankhon se achanak tute do sitare jo larazte rahe ta-der larazte hi rahe jaise kahte hon ki is sham-e-gurezan ka bharosa kya hai dil na chahe to faqat harf-e-tamanna kiya hai