faqat hisse ki khatir kat gai ye zindagi milad sunne mein bila jaane ki hissa hai to kaisa aur kitna ye sab aasan nahin tha gulab aur itr se bhaari faza mein sans lena der tak aasan nahin tha na aasan tha samajhne ki adakari bhi karna us zaban ko jis se main na-ashna tha aur wo bhi ba-adab rah kar bahut bhaari tha bele ka wo gajra jo pahnaya gaya tha mujh ko agli saf mein baithane se pahle han saza jaisa tha mera baithna us saf mein jis mein ek bhi bachcha nahin tha aur jahan se dur thin sab chilmanen aur un se chhanti raunaqen ye sab qurbaniyan de kar agar hisse ki khwahish hai mujhe to kya ghalat hai mere hisse ki khwahish par hanso mat mera hissa to pakka hai agar main so bhi jaun khuda ko sab pata hai