ye khairaat hi ki karamat hai aaqa ye parde hata de bade baadshahon ki sangat hai salana khairaat ka moamla hai to tamghe saja mere aaqa teri haziri hai wo tamghe jo mashriq ke malbus par tanz hain wo tamghe jihadon ke jin ke patte jel-khanon mein fariyaad-khwan hain wo jangen nishan jin ke sarhad ke andar kahin dafan hain ye khairaat hi ki karamat hai utran se manus mahaul mein rit aisi chali hai ki har marhale fikr mein sirf imdad imdad ki gudgudati sada hai har ek fard khairaat ke shauq mein sargiran hai ye parde hata mere aaqa ki tu bhi faqir aur main bhi