main bhi paida hui wo bhi paida hua main aai to khushiyan bahut thin magar wo aaya to shadyane baje main fakhr-e-man-bap tha wo fakhr-e-man-bap tha main gham-khwar thi wo jalali bahut tha main farman-bardar thi wo baghi bahut tha main zamin tha wo aasman tha mera bachpan chhina gaya us ko bachcha samjha gaya main khatawar thi aur be-khata us ko samjha gaya mujh ko parde mein rakkha gaya us ko aazad chhoda gaya mujh ko chauka-bartan mila us ko gend aur balla mila main bhi padhti thi wo bhi padhta tha main naqis-ul-aql thi wo dana bahut tha bazm-e-alam mein us ka darja siwa tha kyunki main aurat thi aur wo mard tha