firaq

teri furqat mein ai mere dilbar
dil kahin bhi bahalta nahin hai

lamha lamha mujhe das raha hai
aur dam bhi nikalta nahin hai

jab bhi chahe tu roke zamin ko
tu sitaron se gardish hata le

aur idhar ek main hun ki khud se
apna dil bhi sambhalta nahin hai

ek charagh-e-mohabbat tha aisa
jo ki raushan tha teri jabin par

hae kyun wo charagh-e-mohabbat
meri aankhon mein jalta nahin hai

dur lagti hain sab manzilen ab
aur tarik hain raste bhi

ye safar khatm ho kaise 'alam'
tu mere sath chalta nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close