teri khamosh-mohabbat ko na samjha koi be-zabani teri izhaar bani thi jis ka tere jazbaat tere ehsasat kabhi shadabi se teri kabhi kumlahat se aashkara the magar koi na samjha teri baat zindagi bhi teri poshida thi insanon se phir bhi kuchh logon ne daulat ke liye nal samajh kar tujh se drawing-room apne saja rakkhe hain martabanon mein tawajjoh se lagaya hai tujhe kitni yak-tarfa rahi hai teri chah lekin is daur mein kuchh log zaban-dan hain tere mil gaya hai teri khamosh mohabbat ko jawab der hi se sahi insan ka dil jaga hai aaj bhi ranj mein rahat mein hai tu us ki sharik us ka gham rakhta hai afsurda tujhe aur khushiyan tujhe sarsabz bana deti hain lekin ab bhi bahut aise hain nahin jin ko khabar un pe jo bitti hai tujh pe guzar jati hai ras be-mehri-e-insan tujhe kab aati hai ranj ki aanch se tu sukh ke rah jati hai