gaDhi mera

main tha aur phul the ek gosha-e-tanhai mein
hum se kuchh dur parinde bhi the gahrai mein

nil-gun aasman shaffaf nazar aata tha
bahta pani bhi bahut saf nazar aata tha

dhup thi tez magar dil ko bhali lagti thi
wadi-e-sabz mohabbat ki gali lagti thi

chadaren odhe hue ladkiyan hairan si thin
mere ham-rah wo ek khwab-e-pareshan si thin

baat karte hue hanste hue dar jati thin
surkh phulon ke simatne pe bikhar jati thin

jism se dil ke talluq ka hawala bhi na tha
khoi chizon ko koi dhundne wala bhi na tha

har taraf guzre hue waqt ki khamoshi thi
yaad ek yaad na thi sirf faramoshi thi

khatm hoti hui ek sham adhuri thi bahut
zindagi se ye mulaqat zaruri thi bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close