ganw ka alamiya

jab tum lautoge
to dekhna

shahr ki viraniyan
ababil ki tarah

yahan bhi apna dera dal chuki hain
ab kisi bhi aankh mein

pahchan ki khushbu nahin hai
chaubaron ke diye

kab ke bujh chuke hain
bahut jaan-lewa sannata

wahan leta rahta hai
jab tum lautoge

tab amraiyon mein
khade pedon ki

behad udas si
gup-chup sargoshi sunoge

pakke ghaton wali
nadi ka tat

mulsari ka ped
thir jal dhaara

aur
chaupalon mein bujhe hue ghuron ki rakh

tumhein pal bhar
thaharne ko dawat

nahin dengi
jab tum lautoge

to dekhna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close