jab mere watan ki galiyon mein zulmat ne pankh pasare the aur raat ke kale baadal ne har shahr mein dera dala tha jab basti basti dahak uthi yun lagta tha sab rakh hua yun lagta tha mahshar hai bapa aur raat ke zalim sae se bachne ka koi yara bhi na tha sadiyon mein tarasha tha jis ko insan ke anthak hathon ne tahzib ke is gahware mein har phul dahakta shoala tha jab nam khud indhan ki tarah bhatti mein jalaya jaane laga aur nek khuda ke sab bande mardud-e-haram thahrae gae jab khun ki holi rasm bani aur maqtal-gahen aam huin barbariyat wahshat fan thahri is fan ki bazmen aam huin jab shauhar bete bhai pidar sab nam-e-khuda ke kaam aae aawaz thi ek insan ki bhi is shor ke bihad jangal mein jo mitne ko tayyar na thi jo zehnon ko garmati rahi jo chhalni jism se kahti rahi uth hath badha hathon ko pakad lakhon hain yahan tere jaise is jang ko jari rakhna hai gar tut gae to haar gae