ek janaze ko uthae ja rahe the chand log tum ne puchha kya hua kyun ja rahe ho tum malul tum ko logon ne bataya mar gaya hai ek shakhs aur yun marte hain nadan hun ki arbab-e-uqul mangne ko chand paise pet bharne ke liye ja raha tha raste se ek be-bechaara faqir tum ne dekha koi us ka puchhne wala nahin tha maraz mein mubtala wo qaid-e-nikhat ka asir chashm-e-haq-bin ke liye ibrat ke nazzare mile hasti-e-insan pe jo zindagani dekh kar aish-o-ishrat ke maze be-kar se sabit hue naqsh-e-alam mein numayan rang-e-fani dekh kar raj chhoda baadshahat ki ummiden tark kin ho gaya betab dil ruh-e-haqiqat ke liye chhod din aasaishen phirte rahe tum ku-ba-ku hasti-e-mabud ki nazr-e-aqidat ke liye iztirabana basar ki zindagani muddaton kulfaten rah ke uthain mausamon ki shiddaten ki riyazat raat-din dil ki tasalli ke liye ja-ba-ja phirte rahe kin murshidon ki khidmaten dur basti se gaya ke ek shajar ki chhanw mein tum ko bil-akhir sukun-e-jawedani mil gaya dafatan chamki haqiqat ki tajalli samne mehnat-e-paiham se raaz-e-zindagani mil gaya ab bhi pairaw hain tumhaare tum ho un ke dewta ab bhi pur un ki aqidat se tumhaara jam hai ye nataej hain tumhaare be-gharaz aamal ke tum nahin zinda magar zinda tumhaara nam hai