shahi darbar main khadim-e-khas ka elan takhliya raqs-e-junun-khez pe nau-khez badan shahr main aadam-e-khaki kai lahu ki qimat dene aae hain mahaaraj ke maikhane main rang aur nur ki barsat ke beach kaun dekhega be-sar ki lashen nau-badan jam-e-tahayyur ka naya zaiqa hain jan pe do-lakht kiye jate hain mulkon ke badan shahi darbar mein mahaaraj ka elan sahibo dhund ki tahzib ka parchaar karo jin par nare hain likhe ghar wo tah-e-khak karo shahr mein gunje faqat naghma-e-tausif-e-riya hurmat-e-harf ho paband-e-shikoh-e-aiwan zikr mat ho kahin jalte hue khiyam ka bas sirf tarikh main chamke mera farman-e-shahi shahi darbar mein wazir-e-ba-tadbir ka mashwara takhliya sahibo ye waqt hai sarshaari ka faisle kal pe utha rakhte hain mustaqbil ke is samay shahr mein barpa karo jadu koi log masruf rahen waqt guzar jae bas khak ho jaengi sadiyan yunhi qadmon ke tale shahi darbar mein mahaaraj ka mukhbir-e-khas ko hukm lahn-e-salar bata haal zamane ka mujhe us mein bas mujh ko bata meri khabar ki babat mat suna khasta zamanon ki shikasta baaten lafz likh mere liye nok-e-qalam se aur phir shahar-bhar mein yahi tarikh munadi kar de waqt ke sare moarrikh karen baiat us ki phul par khun nahin tha wo nam-e-shabnam tha ek khamosh riyazat thi ajal ka chakkar be-badan khwab the tahzib ka nau-rafta-mizaj shahi darbar se bahar reaya ka mizaj dosto yun hi salamat rahe aiwan ka waqar rizq malta rahe ranai ka aankhon ko yunhi yun hi batti rahe khairaat-e-kafan gard-e-yaqin yun hi milti rahe qabron ke liye muft zamin dosto yun hi salamat rahe aiwan ka waqar