phir se hai shahr ek suraj ek subh be-sakhta udas aur kam ghantiyon par hai waqt ka matam ye wo jagah hai jo kahin bhi nahin aur har jagah ki kahani hai waqt insan pe todta hai sitam ghantiyon par hai waqt ka matam subh be-sakhta udas aur kam tum andheron se jab nikal aao meri aankhon ke aas-pas raho raaz ke kholne ka waqt hai ye be-jhijak bolne ka waqt hai ye tez sab kuchh guzarte dekhoge tum bhi suraj ko marte dekhoge waqt insan pe todta hai sitam ghantiyon par hai waqt ka matam jis khala mein zamin ka dera hai us mein chaaron taraf andhera hai aankhen jo dekh len wo tera hai yahi har bar ki kahani hai aankh kuchh bhi nahin hai pani hai ghantiyon par hai waqt ka matam