puran-mashi raat saji jab sath zamin bhi dol padi ek murat aakhir bol padi ek bar nahin sau bar nahin kyon chahat ka iqrar karun kyon raqs ko apne aam karun jis kaam ka hasil koi na ho kyon aisa koi kaam karun kyon aisa koi kaam karun hai koi jo mujh mein kahta hai jo dil mein hai ab bol zara kuchh der ko ghungru khol zara ye raqs jo tu karti hai yahan is raqs mein tere wahshat hai jis shakhs ki chahat ulfat hai wo shakhs zamin ka basi hai wo aam rawayyon wala hai wo teri wafa kya samjhega wadon ko nibhana kya jaane wo ishq diwana kya jaane wo shakhs jo duniya-dar bhi hai zardar hai yun nadar bhi hai aazad bhi hai ab us ki chahat chhod ke tu khalwat mein khud se bol kabhi aur khud mein khud ko ghol kabhi ye ishq kitabi ishq hai jo lamhon ki lazzat deta hai phir us ki qimat leta hai is ishq-o-mohabbat mein pad kar tu khud ko yun nashad na kar barbaad na kar hai koi jo mujh mein kahta hai aa tujh ko tujh se milwaun tu kya hai tujh ko batlaun tu jannat hai tu rahmat hai tu quwwat hai tu rahat hai tu sarwat hai tu barakat hai aur sab se badh kar aurat hai in lafzon ko bhi tol zara khalwat mein khud se bol zara kuchh der ko ghungru khol zara