giraft

siyah raat ka baadal saron se chhutte hi
mere dariche ke nange safed shishe par

nae yaqin ke suraj ne apni dastak di
adhure khwab mere tut ke bikhar se gae

ki jin ke rezon ko be-nur jugnuon ki tarah
guzarte lamhon paron par udae phirte hain

faza mein chaaron taraf kirchiyan si yaadon ki
rupahli dhup mein jhalka rahi hain aaine

nazar mein sare manazir ke ang jhute hain
mere khayal ki jaane giraft kis par hai

sitara-rang hain zarraat chand si hai zamin
lahu hai raat ka suraj ke aabgine hain

ki jis ka aatishi din par chadha hua sa rang
sunahra jal hai zartar raushni ka jal

azab-e-jaan ki tarah ird-gird phaila hua
jise ki rangon ki aawara surmai titli

paron mein sham ko uljha ke udne wali hai
main sochta hun hasin ungliyon se khwabon ki

chamakte jugnu na pakdun nigah mein rakh kar
tamam raat fazaon mein us ko udne dun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close