khilauna to nahin hun main na mitti ka koi but hun ki jab tum hath ko modo nahin hogi mujhe taklif ki jab tum aankh ko phodo to chikhen bhi na niklengi bina soche bina dekhe meri shadi kisi gudde se kar doge mere sar mein kisi bhi nam ka sindur bhar doge mujhe mujh se bina puchhe mujhi se dur kar doge suno ye jaan lo tum bhi suno ye jaan lo tum bhi murawwat chhod di main ne jise gudiya samajhte the wo gudiya tod di main ne