aaj qismat se nazar aai hai barsat ki raat kya bigad jaega rah jao yahin raat ki raat un ki pa-bosi ko jae to saba kah dena aaj tak yaad hai wo aap ke gujraat ki raat jis mein salma ke tasawwur ke hain tare raushan meri aankhon hai wo aalam-e-jazbaat ki raat hae wo mast ghata hae wo salma ki ada aah wo rud-e-chanab aah wo gujraat ki raat mere sine mein idhar zulf-e-muattar ka hujum aah wo zulf ki aawara kharabaat ki raat sath-e-doya pe idhar nashshe mein lahrai hui rang lai hui chhai hui barsat ki raat uf wo soi hui khoi hui fitrat ki bahaar uf wo mahki hui bahki hui barsat ki raat phir wo arman ham-aghoshi ka jazb-e-gustakh aah wo raat wo salma se mulaqat ki raat kyun na un donon pe mitne ki ho hasrat akhtar uf wo us raat ki baat aah wo us baat ki raat