sal-ha-sal bayaban-e-guman ko sincha khun-e-idrak se aab-e-jaan se tab kahin us mein huwaida hue afkar ke phul phul jin ko mere bete teri farhat ke liye shisha-e-ruh ke gul-dan mein saja laya hun aur chupke se ye gul-dan main ne rakh diya hai teri padhne ki nai mez pe yun jaise is mez ki takmil thi us ki muhtaj aur samajhta hun ki in phulon ki nadida hasin khushbu se tere kamre ki har ek chiz mahak utthi hai kaun jaane ki meri soch mere zoam ki gul-kari ho fikr ki shoabada-bazi ho tasawwur ki talabgari ho aur tu siti bajata hua kamre mein ho dakhil to tujhe ajnabi bas ka karb yak-ba-yak sans ke rukne ki aziyyat se ham-aghosh kare aur jhunjhla ke tu gul-dan ko dariche se pare phenk de jada-e-sangin ki taraf pas-e-diwar khada main sunun tutte gul-dan ki sada aur mere kanpte honton se uthe tere ehsas ki barnai ke be-tok panapne ki dua