milo ek din kisi gum-nam sahil par wahan par ham-qadam ho kar chalenge dur tak yun hi hum apne bhige pairon ke nishan ko ret ke daman se chun kar manzilon ke hath mein de kar koi wada karenge naya sapna bunenge utha kar koi arman reg sahil se hum ek din sipiyon ke dil mein rakh denge taki abr-e-naisan jab bhi barse sipiyan moti janen parinde bhul kar parwaz apni dard ki lahren ginen milo ek din kisi gumnam sahil par samundar ke kushada-dil mein suraj dubta hai jab samay jis dam gale mil kar sinduri sham karta hai shafaq ke hath tezi se ufuq mein rang bharte hain maujon ko kinaron par saba mahmez karti hai faza gul-rez karti hai kahan tak rok sakte hain khwabon ki udanon ko ye lahren dil mein rakhti hain bahut si dastanon ko milo ek din kisi gum-nam sahil par hamare bakht-e-khwabida ko maujon ki koi karwat jaga degi mohabbat zindagi ko khushbuon ka rasta degi hum apni ok mein le kar samundar se koi qatra zamin-e-dil ko nam kar ke wahan par khwab boenge hamari makhmalin khwahish zara si bhig jaegi to jina sikh jaegi milo ek din kisi gumnam sahil par nahin badla ye dil hum ne kai mausam kharab aae samundar chahta ye hai mohabbat zer-e-ab aae chalo in kashtiyon ke baadbanon par tumhaara nam likh kar hum sunahre paniyon ke hath mein de den ye kashti dhund legi jab mohabbat ke jazire ko to hum umr-e-rawan ek sath katenge tumhaara dard bantenge milo ek din kisi gumnam sahil par